Hi dosto. App banane ke tarike.
9 Simple Steps: Android Mobile App Kaise Banaye? in Hindi
Yaha aap sikhege ki android application kaise banate hai ya kaise banai jaati hai (How to make an android app in Hindi)
Kya aap khudki apni ek android app banana chahte hai?
kya apko technically knowledge nahi hai par phir bhi apni ek app 5 minutes me banana chahte hai?
Jisme aap chahe wo display ho aur aap chahe wo function chale ya phir aap chahte hai koi bhi apke website ya blog ke user apke blog ko app se hi open kar sake to ji haa aap yah kar sakte hai.
Abhi jo bhi tarika apko batane jaa rahe hai usme apko kisi bhi tarah ka koi bhi course karne ki jarurat nahi hai. Bas kuch is minto me form ko bharke app ko design kar sakte hai.
Android Ka Course Karna Padega Ya Nahi?
Waise To professional tarike se android app design karne ke liye apko android ki designing language ka course karna hota hai par agar apko phir bhi bina language ka course kiye hi android app design karna chahte hai to ise aap 5 minutes me kar sakte hai.
Step by Step Sikhe: Kaise Ek Android/Mobile App Banaye?
Step 1. AppsGeyser website open kare
Computer/laptop ke browser me www.appsgeyser.com website ko open kare.
Step 2. Create Now Button par click kare
Is website me Create Now! name se green color ka button hoga us par click kare.
Step 3. Kis Tarah Ki App Banwani Hai Ka Chayan Kare
Apke samne kai tarah ke option hoge, in me se koi bhi ek ko select kar sakte hai. Abhi agar aap apne blog ya website ke liye app banana chahte hai to Website par click kare.
Step 4. Apni Website/Blog Enter Kare
Apni app me apko jis website ya blog ka data show karna hai wo website ya blog enter kare aurNext par clic kare.
Agar apki website ya blog nahi hai to yaha click karke jaane apni website ya blog kaise banaye?
Step 5. App Name De
Phir Apni app ka name de aurNext button par click kare.
Step 6. App Description De
Phir apni app ka description likhe, isme apko likhna hoga ki apki app kis bare me hai taaki internet par koi bhi user apki app ko download karne se pahle ise samjh jaye ki apki app me kya milega.
Description likh kar Next button par click kare.
Step 7. App Icon Upload Kare Ya Default Rakhe
Agar apke paas me apni app ke liye icon hai to ise upload kar sakte hai, agar nahi hai to ise default hi select rahne de aurNext par click kare.
Yah icon is app user ko show hota hai.
Step 8. Phir aakhir me Create Button par click kare
Step 9. Account Info Daale
Ab apko apna account banane ke liye Email, password create kare jo apko rakhne hai, phir SIGN UP par click kare apki app ban gai hai.
Agar Email account nahi hai to padhe: Gmail Account Kaise banaye?
Ab yaha se ek bar apni app ki .apk file download karke dekhe ki apki app sahi kaam kar rahi hai ya nahi aur agar phir jab aap ise publicly publish karna chahte to kare other wise ise personal use me hi le.
Related Posts:Android Mobile Se Computer Par Internet Kaise Chalaye in HindiAndroid Mobile Me Hindi Font Me Kaise Likhe | How to Write & Type | KeyboardAndroid Google Play Store Me Account Kaise Banaye in HindiAndroid Kya Hai | Iske Bare Me Hindi Janakri | What is Android?
Leave a Reply
Your email address will not be published. Required fields are marked *
By Sanjay kumar mahato.
Comments